Socho… aik taraf ek maa apnay do bachon ke saath flood kay paani mei khuli sadak par baithi hai. Ghar tabah ho gaya, ration khatam, aur kapray tak bheeg gaye. Uski aankhon mei sirf aik sawaal hai: “Kal mere bachay kya khayenge?”
Dusri taraf shehar ke aik bara hotel roshanion se jagmaga raha hai. Shaadi ki takreeb hai, mehmano ke liye 40 dishes ka buffet laga hai. Stage par lakhon rupay ka decoration, dulhan kay dress par crore rupay kharch, aur log sirf dikhawa karnay mei masroof hain. End mei wohi khana dustbins mei phaink diya jata hai jo kisi flood victim ke liye zindagi ban sakta tha.
Ye contrast sirf dil dukhata nahi, balkay humein sochnaypar bhi majboor karta hai. Flood jaisay natural disasters hamari society ki asal haqiqat dikhatay hain . hum kitne self-centered ho gaye hain. Luxurious shadiyan asal mei ek waste of money aur selfishness hain. Jab hamare bhai-behen paani mei doob rahay hain, hum apnay paisay sirf dikhawa aur status par uda daitay hain.
Islam hamesha simplicity aur moderation ki talqeen karta hai.Lekin humnay shaadi ko ek competition bana diya hai. Agar hum ye paisa flood relief, education ya health par laga dein to kitni zindagiyan bach sakti hain.
Ab waqt hai ke hum apni society ke liye stand lein. Shaadi ko simple banayein, apnay resources share karein, aur insaniyat ko apnayein. Yaqeen mano, asal izzat aur barkat simplicity mei hai, dikhawa mei nahi.