21wian century kay Pakistan me ek bohot bara masla late marriages ka hai. Pehlay zamanay mai ladkiyon ki shaadi choti umar me ho jaati thian aur larkon ko bhi zyada intezaar nahi karna padta tha. Magar aaj kay daur me shaadi kay masail din ba din barh rahay hain aur is ka sabse bara nateeja late marriages ki shakal me samne aa raha hai.
Late Marriage Ki Wajuhaat
Sabsay pehla reason hai muashi mushkilaat. Mehngai, berozgaari aur wedding expenses ki over-expectation nay larkon ke liye shaadi karna mushkil bana diya hai. Doosra reason hai high standards aur unrealistic demands. Families rishta kartay waqt caste, status aur financial background pay zyada focus karti hain aur compatibility ko nazar andaz kar deti hain.
Ek aur wajah hai modern soch jo kay asal me humari values kay khilaaf ja rahi hai. Aaj kal log unnecessarily career aur freedom ke naam pay shaadi delay kartay hain, ya phir dating aur friendship culture ko prefer kartay hain. Yeh sab cheezein hamari society me late marriage ko promote kar rahi hain.Shaadi ko unnecessarily complicate karna, lavish weddings aur western dating culture adopt karna hamaray liye maslay ka hal nahi hai. Yeh sab cheezein sirf samaji issues ko aur barhati hain. Hamari society ko asal mai simple aur Islamic tareeqon ki taraf lautna hoga jahan izzat, trust aur values pe zyada zor ho.
Rishta Apps Ka Kirdar
Aaj kay digital daur me, jab rishtay dhoondhna aur verify karna mushkil ho gaya hai, to rishta apps jaise “Dil Ka Rishta” aik behtareen hal ban kar samnay aayi hain. Yeh app families ko secure platform provide karti hai jahan wo apni preferences kay mutabiq rishtay search kar saktay hain. Sabsay badi baat yeh hai ke yeh tareeqa modern bhi hai aur safe bhi, kyunkay ismay dating culture ko promote nahi kiya jata balkay family-oriented rishtay miltay hain.Ye app na sirf process ko asaan banati hai balkay families kay liye safe aur reliable option bhi hai.