Aaj kay daur mein jahan technology nay zindagi kay har pehlu ko asaan bana diya hai, wahi “shadi” jo kabhi ek saadgi bhara, khushgawar bandhan hua karti thi aaj aik mushkil aur uljhan bhara masla ban chuki hai. Sawal ye hai kay akhir shadi masla kyu ban gayi hai?
Maqsad badal gaya

Pehlay shadi ko zindagi ka aik naya safar samjha jata tha jahan mohabbat, bharosa aur izzat buniyadi asas hoti thi. Aaj kal logon kay liye shadi zyada tar “status symbol” ban gayi hai. Har koi chahata hai kay uski shadi viral ho, mehmaan impress hoon aur har cheez “Instagram perfect” lagay. Jab maqasid badal jaatay hain, to rishtay ki rooh khatam ho jaati hai.
Mali Dabaao

Aaj kal kay walidain aur jawan dono hi mehngai aur samaji dabao ka shikar hain. Bara jahaiz, mehngi shadiyan, designer joray aur five-star halls in sab nay shadi ko ek competition bana diya hai. Aksar rishtay is liye toot jaatay hain kyunke larkay walay “expectations” rakhtay hain aur larki walay unn ko pura karnay mein thak jaatay hain.
Career aur Stability ki Fiqar

Aaj ka naujawan pehlay apnay career, job aur financial stability banana chahta hai jo bilkul theek bhi hai. Lekin aksar ye planning itni lambi ho jaati hai kay shadi kay faislay musalsal delay hotay jaatay hain. Result ye hota hai ke umar ke sath sath rishtay kay options bhi kam ho jaatay hain, aur phir log complain kartay hain ke “achay rishtay miltay hi nahi.”
Social Media ka Asar

Social media nay logon ke zehan mein ek unrealistic tasveer paida kar di hai “perfect couple,” “fairytale marriage,” “goals.” Jab asal zindagi mein aisi perfection nazar nahi aati, to mayoosi aur bechaini barh jaati hai. Har kisi ko lagta hai ke doosray ka rishta uskay muqablay mein behtar hai.
Bey-Etimadi aur Overthinking

Aaj kay rishton mein sabsay bari kami “trust” ki hai. Har koi doosray ki niyat pay shak karta hai. Ye bey-aitimadi social media aur past experiences dono say barhti ja rahi hai. Har rishte mein overthinking, comparison aur fear of failure shamil hai aur ye sab mil kar shadi ko ek emotional battlefield bana dete hain.
Samaji Dabao aur Nafsiyati Thakan

“Abhi tak shadi nahi ki?” ye sawal aaj kay youth kay liye aik nightmare ban gaya hai. Society ka ye lagataar pressure logon ko ya to jaldbazi mein galat faislay karnay par majboor karta hai, ya phir unhein rishtay say hi door kar deta hai.
Shadi khud ek masla nahi hai masla humari soch, expectations aur society kay standards mein hai. Jab hum shadi ko ek numaish aur competition kay bajaye zindagi ka sachcha saathi dhundhnay ka safar samajhnay lagayenge, tab ye masla khatam ho sakta hai.Zarurat is baat ki hai kay hum “perfect rishta” nahi, balkay “compatible insan” dhundhnay ki soch rakhein.






