Hamare muasharay mein shaadi late hone ka masla aaj kal bohot discuss hota hai. Har rishtedaar aur aunty ki pehli line hoti hai:
“Beta abhi tak shaadi nahi ki? kaho to apni rishtay wali aunty say bat karu!”
Lekin asal baat yeh hai ke late marriages ka apna ek charm bhi hai. Zindagi ke kuch experiences enjoy karne ka mauka milta hai jo shayad early marriage mein reh jaate.
Career aur Self-Growth ka Time
Late marriage ki wajha say apko apne career pe focus karne ka time mil jata hai. Stable job, savings aur apni identity develop kar lena bohot bari achievement hai. Shaadi ke baad yeh sb batain ziada mushkil ho jati hain, to why not enjoy it before?
Achi Maturity aur Better Decisions
Thoda late shaadi karne ka ek aur faida yeh hai ke banda aur bandi dono zyada mature ho jaate hain. Matlab ab shaadi sirf “red dress aur mehndi dance” ke liye nahi, balke sahi partner choose karne ke liye hoti hai.
Rishtedaron Ki Gossip
Sabse zyada entertaining part hai rishtedaron ki gossip sunna. “Tumhari age nikal rahi hai” ya “bus ab aur delay mat karo” yeh lines aik free comedy show ki tarah hoti hain. Bas smile karke sun lo aur agla gol gappa kha lo.
“Best Age” Ka Koi Formula Nahi
Asal mein shaadi ki best age koi fix nahi hoti. Har insaan ki apni journey hai. Koi 23 mein ready hota hai, koi 33 mein, aur koi 43 mein. Zindagi ka asal maza isi mein hai ke ap apni speed se cheezen decide karo.
Late marriages ko problem samajhne ke bajaye ek opportunity samajho. Jab tak right person nahi milta, apni company ka maza lo.or sab say aham bat ye kay ab to “Dil ka Rishta” ab bhi mojud hai jahan apko aisa rishta milay ga jis k liay ap k rishtay dar tarastay hain jin ki kachi umru mai shadi hui.to chill karain kiu k ab ap k pass “Dil ka Rishta” hai.