Hamare yahan ye “chalan” aam hai ke jab tak hum apne kaam par na lag jayein, dosron ke kaam mushkil bana dete hain. Yehi rawaiya humein Youm-e-Azadi par bhi nazar aata hai jab “Azadi ke mutalashi” dosron ki zindagi haraam kar detay hain. Kisi bhi beemar, aazaar, kisi bhi imtihaan, khandan walon ke” taanon”, shareekon ki “chaalon” aur sab se barh kar apni pareshaniyon mein uljhi 80% awaam ka soche baghair “bajay” bajane se baaz nahi aate. Aur maze ki baat ye hai ke ye “farigh awaam” jhathon” ki soorat mein bahar nikalti hai aur” Bharat” par aane wala tamam ghussa in bajon ke zariye gharon mein baithi “shareef awaam” par nikal deti hai.
Idara Shumariyat kay mutabiq Pakistan mein is waqt dhai crore se zyada afraad ghair-shadi shuda hain. Ghair-shadi shuda ka matlab abhi aap ne dariya mein “chhalang” nahi lagayi, aur jab tak aap bohat maze se dosron par tanqeed bhi kar sakte hain aur un ka jeena do-bhar bhi kar sakte hain—bilkul usi tarah jis tarah “farigh awaam”14 August par 14 bajon ki “salami” dene nikalti hai lekin apne apne kaamon mein masroof “shareef awaam” ki samaaton ke liye intehai na qabil-e-bardasht ban jati hai.
In tamam kaamon mein hamari nojawan nasal pesh pesh hai, aur ye intehai purjosh awaam jab apne jazbat ke izhar ki azadi paati hai to in se bada “blowai” koi nahi hota. Matlab do din woh hota kay Khuda ki panah.
“Dil Ka Rishta” ka inhi nojawanon ko mashwara hai ke “shah sawar” banein aur idhar udhar ki “phenkne” aur dosron ki zindagi mein dakhal andazi karne ke bajaye real hero banein. Dil Ka Rishta par aayen aur asal zindagi aur us ki azadi ka experience hasil karein.
Happy Independence Day