Cousin marriage, yaani rishtedaron mein shaadi, hamari saqafat ka aik aham juz samjha jata hai. Parents aksar apnay bachon ke liye qareebi Rishtaydaron mein rishtay dhoondtay hain taake family STRONG rahay, Inheritance na batay, aur larki ko aik “jaan pehchaan” yani friendly sa mahaul mile.
Magar waqt badal raha hai.
Aaj kal ki nasal ab in riwayati faislon ko challenge kar rahi hai aur chahti hai ke unke jazbaat, soch aur pasand ko importance di jaye.
That’s why the Dil Ka Rishta app iss important maslay ko naye andaaz se dekhne ki koshish kar rahi hai.
Dil Ka Rishta aik aisa platform hai jo rishton ko sirf khooni nisbat ya samaji dabao ki buniyad par jorne ke bajaye, do afraad ki pasand, mizaaj, taleem, aur dilchaspiyon ko mad-e-nazar rakh kar unhein hum-aahang banane ki koshish karta hai.
Is app ke zariye nojawan apne life partner ki talaash mein khud bhi shamil hotay hain, taake sirf khandan ki pasand par nahi, balkay apni soch, dil ki awaaz aur mustaqbil ke khwaboon ko samnay rakh kar faisla kar saken.
In other words, apki pasand ki shaadi, aur ap ke ghar walon ki tassali bhi sath!
Yeh baat durust hai ke kay cousin marriages kamiyab bhi hoti hain (not always), lekin yeh tabhi mumkin hota hai jab dono afraad ki raza mandi, hum-aahangi aur mohabbat shamil ho. Sirf rishtedari ya walidain ki khwahish par kiye gaye faislay aksar aur problems create kartay hain.
Dil Ka Rishta jaise platforms humein yeh sochnay par majboor kartay hain ke shaadi sirf do khandano ka nahi, balkay do dilon, do zehno aur do personalities ka rishta hai — aur yeh rishta tabhi kamiyab ho sakta hai jab dono ek dosray ko waqai samjhein aur qabool karen.
Is badaltay muasharti tanazur mein, Dil Ka Rishta jaise digital platforms aik positive qadam hain jo purani riwayat ko jadeed soch ke sath jortay hain.
Yeh na sirf nojawanon ko indepence detay hain balkay walidain ko bhi aik naya perspective detay hain ke rishta karte waqt bachon ki khwahish aur hum-aahangi ko nazarandaz na kiya jaye. Rishtay dil se bantay hain, aur Dil Ka Rishta is nazariay ko amli shakal denay ki aik kamiyab koshish hai!
So, aj hi azmaayen!
If you are looking for a partner, get Dil Ka Rishta today and start connecting!