Doston, hum sab nay dekha hai kay Pak-Indo match mein Pakistan kabhi kabhi itna acha start leta hai ke lagta hai jeet pakki hai. Lekin beech mein wickets girti hain, catches drop hotay hain aur run chase mushkil lagnay lagta hai. Crowd ki umeed thodi si toot jaati hai, lekin akhir tak jo team himmat na haaray, wohi jeet ke trophy uthati hai.Waise hi shaadi ke rishtay ka scene hai, khaaskar Dil Ka Rishta App par. Kabhi aap profile scroll kartay ho aur pehle 2–3 profiles pasand nahi aatay, kabhi chat start hoti hai to doosri party “seen” karke chali jaati hai. Aisay lagta hai ke match haar gaye. Lekin asal game wohi hai jahan aap patience rakhtay ho.
Cricket mein jaise middle order sambhalta hai, waisay hi rishtay mein thodi mehnat aur samajhdaari say game palat jaati hai.Kabhi last over tak fight karni parti hai, lekin end mein ek chhakka jeet dilata hai.Rishtay mein bhi agar aap consistent ho, respect detay ho aur himmat nahi chhodte, to “perfect match” mil hi jaata hai.
Pakistani cricket nay hamesha sikhaya hai: haar kay baad bhi dobara koshish karni chahiye. Umeed nahi chhodni chahiye. Aur waisay hi shaadi ka safar hai .Agar Dil Ka Rishta App par pehlay 10 profiles say match na bhi banay, lekin 11th ya 12th profile wohi hoti hai jo “life partner” ban jaati hai.
Toh lesson ye hai kay chahay ground ho ya zindagi ka rishta, patience, faith aur lagataar koshish hi asal jeet hai. Aur yaad rakho, haar temporary hoti hai… lekin jo insaan end mein jeet jaye, usi ka naam champion hai.