Pakistan mein unmarried population tezi say barh rahi hai aur yeh samaji masla ab ek national challenge ban chuka hai. Digital Census 2023 kay mutabiq mulk mein 4 crore 25 lakh log unmarried hain jo total 15 saal say upar ki population ka 29.75% bante hain. Yeh ratio 2017 kay census kay muqablay mein bohot zyada hai, jab unmarried logon ki tadaad takreeban 3 crore 73 lakh thi. Matlab kay sirf 6 saalon mein 50 lakh say zyada afrad unmarried reh gaye.
Is surge kay peeche bohot say factors hain jaisayTaleem aur career pay zyada focus ki wajah se log shadi delay kar rahay hain.Mehngai aur jahez ka bojh shadiyon ko mushkil bana raha hai.Urban areas mein shadi ki average age barh rahi hai; 2000 mein women ki average shadi ki age 22 saal thi, jo ab 26 saal ke qareeb ho chuki hai.Muashi instability aur job market ki uncertainty nay bhi families ko shadi kay faislay delay karnay par majboor kar diya hai.
Geographically dekha jaye to unmarried log sabsay zyada Punjab mein hain, phir Sindh, Khyber Pakhtunkhwa, aur Balochistan mein. Islamabad mein bhi takreeban 486,000 unmarried afrad hain.Barhti hui unmarried population sirf ek fard ka masla nahi, balkay samaji aur nafsiati issues ka sabab bhi ban rahi hai. Late marriages ki wajah say depression, anxiety aur loneliness barh rahi hai. Saath hi family system par bhi asraat parh rahay hain kyunkay rishton kay delay se generations ke darmiyan gap create ho raha hai.
Is context mein Dil Ka Rishta App aik modern aur reliable solution ban kar samne aayi hai. Ye app khas taur par un afrad ke liye design ki gayi hai jo safe, secure aur transparent tareeqe se rishtay talash karna chahtay hain.Dil Ka Rishta App nay sirf youth aur educated class ko safe platform provide karti hai, balkay overseas aur urban population ko bhi asaan tareeqay say connect karti hai. Agar is platform ka sahi istemal kiya jaye to na sirf fard ke problems solve ho sakte hain, balkay samaji stability aur family system bhi mazboot ban sakta hai.