Pechlay dinu aik khabar parhi kay ab fake shadian bhi honay lagi hain.Socha ye bahir settle honay k liay sirf “naam ki shaadian”to suni thian ab ye nai shadian konsi agayain…detail mai janay k bad malum hua kay ye shaadian hotels mai arrange ki ja rahi hain jahan shaadiu wala mahul banaya jata hai or kapray bhi shadiu walay hotay hain lakin na hi is mai dulha dulhan hotay hain or na hi rishtaydar balkay ye shaadian sirf acha time spend karnay kay liay hoti hain.Ziada khoj laganay per pata laga kay is fake world ki fake requirements puri kartay kartay ab nojawanu ka shadi mai interest khatam ho gaya hai or wo ab sirf fake marriages ko enjoy karnay kay trend ko follow kar rahay hain.
Bat to such bhi hai kay fake batu ko follow kartay kartay ab real ki ahmiat khatam hoti ja rahi hai misal kay tor per ajkal kay bachay “khalis khorak “nahi khatay hain ya ye kahain kay wo kha hi nahi saktay kiu k unhain junk food ki adat ho gai hai.Baat to tension wali hai to bhaiou or behnu hum nay real shaadi k liay real koshish shuru ki to sab say pahlay meray mind mai Pakistan ki sb say pahli rishta app Dil ka Rishta ka khial aya kiu k mera to real shadi per believe hai or Dil ka Rishta per “Real”shadi app hai jahan apko milay ga sub “Asaal”.
Ajkal ka zamana tou waise hi “filters aur photoshop” ka zamana hai. Banda asal mein 5 foot ka hota hai, insta pe 6.2 ka model lagta hai. Coffee ka cup bhi angle se aise dikhate hain jaise Switzerland ki lake ka shot ho. Matlab asli se zyada logon ko apna “edited version” pasand hai.
Aur tou aur, rishtay bhi ajkal fake profile pictures aur “Main UK settled hoon” walay dialogues par chal rahe hain. WhatsApp DP pe Dubai ke towers, asal mein Gujranwala ka chowk.
Dil Ka Rishta app per apko milega wohi partner jo aapki chai mein do chamach cheeni dalne wali aadat bhi bardasht kar le ya phir bina cheeni wali chai ke sath bhi aapko accept kar le.Tou bhai, agar aap bhi “fake smile aur fake promises” se bore ho gaye ho, tou ek hi app hai jo asli hai – Dil Ka Rishta. Yahan se milay ga aapko apna asli life partner. Aur asal zindagi tou wahi hoti hai jo shadi ke baad start hoti hai, hai na?