Zindagi ka sabse bara decision shaadi ka hota hai, aur life partner select karna usi ka sabse crucial step hai . Lekin sawal yeh uthta hai ke life partner mai aakhir honi kya chahain qualities? Kya sirf achi looks kaafi hain? Ya phir bank balance hi sab kuch hai? Chaliye thoday light mood mai baat karte hain.
Sense of Humor
Agar banda ya bandi thoda hasaa nahi sakte to zindagi bore ho jati hai. Life already traffic, load-shedding aur inflation se bhari pari hai, thoda humor hona lazmi hai. Warna phir Netflix aur memes hi aapke best friend ban jate hain.
Trustworthy
Har call ko “network problem” keh ke na kata kare. Thoda honest hona bhi zaroori hai.
Positive Vibes
Aapko har waqt motivate kare aur life ko memes ki tarah halka phulka rakhe – stress-free.
Samajhdari
Shaadi sirf wedding day ke photoshoot ka naam nahi, balkay rozana ki “aalu banain ya bhindi?” wali discussions bhi hoti hain. Samajhdar partner wo hai jo aapki situation ko samajh kar compromise aur support kare.
Caring
Bukhaar ho to dawa de de, aur agar mood off ho to ice cream le aaye. Matlab har problem ka “care package”.
Loyalty
Yeh to basic requirement hai. Agar trust nahi hoga to har “last seen” aur “who liked your post” par shak ka tufaan uthay ga. Aur bhai, is tarah ki zindagi to kisi CCTV camera ki hoti hai, insaan ki nahi.
Respect
Ek dosray ki izzat karna bohat zaroori hai. Sirf apas mai hi nahi, balke dono families ke liye bhi respect honi chahiye. Warna shaadi ek lambi family drama serial ban jati hai jisme har roz naya twist hota hai.
Dil ka Saaf
10/10 partner wo hai jiska dil WhatsApp storage ki tarah clear ho – koi hidden folder na ho.
Compatibility
Thodi bohot pasand na-pasand alag ho sakti hai, lekin overall vibes match karni chahiye. Agar aap cricket ke deewane hain aur partner ko sirf Korean dramas pasand hain to samjh lijiye ke future mai remote control sabse bara masla ban sakta hai.
Supportive Nature
Life mai ups and downs to aate rehte hain. Acha life partner wo hai jo mushkil waqt mai aapka sath de, motivate kare aur bas ye na kahe: “maine to pehle hi kaha tha.”