Meera Sethi ek Pakistani adakara aur model hain.38 saal ki Meera Sethi Pakistan kay naamwar media gharanay se taluq rakhti hain. Unhon nay Oxford mein English aur Wellesley mein French zubaan aur South Asian Studies ki taleem hasil ki. Is arsay ke dauran unhon nay akhbar kay liye siyasi mazameen likhay, khas taur par Pakistan kay hawalay say. 2011 mein Meera wapas Pakistan aagai aur television dramon mein adakari ka aghaaz kiya.
Guzishta dino un ke fan bay had hairan huay jab adakara aur musannifa Meera Sethi nay do saal say zyada arsa guzarnay kay baad pehli dafa tasdeeq ki kay woh March 2023 mein apnay shohar Bilal Siddiqi say alag ho chuki hain. Meera Sethi nay bataya kay alag honay ka yeh waqt unki zindagi ka nihayat mushkil aur jazbaati taur par kara dor tha. Unhon nay kaha, “Main ek nihayat naazuk aur shadeed kefiyat se guzar rahi thi. Main shukar guzar hoon kay meray doston aur azeezon nay mujhay bay panah hosla aur mohabbat di.”
Meera Sethi nay kaha kay kai saal pehlay unhon nay ek drama mein dialogue bola tha jo talaaq yafta khawateen say mutaliq tha: “Ek talaaq yafta aurat muashray kay liye kaanta ban jaati hai.” Yeh jumla unhein aaj bhi yaad hai. Unka kehna tha ke shaadi ke khatam hone ke baad na sirf dard balkay ek shanakht kay buhran ka samna bhi hota hai.
Adakara ki is khuli guftagu ko madah aur saathi fankaroon nay bay had saraha hai. Social media par users nay unke hoslay aur sachai ki tareef kartay huay kaha hai kay Meera Sethi nay apne zaati tajurbay ko share karkay na sirf apni mazbooti ka saboot diya hai balkay un logon ke liye bhi himmat peda ki hai jo khamoshi say isi tarah ke halaat ka samna kar rahe hain.
Ghor talab bat ye hai kay Meera nay November 2019 mein America kay shehar California mein Bilal Siddiqi say shaadi ki thi. Yeh rishta kai saalah dosti kay baad azdawaji zindagi mein badla tha, taham chaar baras baad iska ikhtitam ho gaya.