Agha Khan University kay mashhoor maahir-e-atfaal, Professor Doctor Agha Zulfiqar Khan nay 76 saal ki umar mein doosri shadi kar li yeh sabit kartay huay kay mohabbat ki koi umar nahi hoti. Unki kahani ne be-shumar dilo ko choo liya,ye yaad dilate huay kay khushi aur saath zindagi kay kisi bhi marhalay mein mil saktay hain.
Unki shadi ki video social media par viral ho rahi hai jisay users ki janib se bohot pasand kiya ja raha hai, aur log is qadam ko sarahtay huay nazar aa rahay hain. Ek user ne comment kiya kay “mohabbat ki koi umar nahi hoti.” Unki yeh mutasir kun kahani yaad dilati hai ke saath aur khushi zindagi kay kisi bhi marhalay par mil saktay hain.Ek user ka kehna tha ke umar se koi farq nahi parta. Yeh jo jumla kaha jata hai kay “is umar mein shadi kar li,” asal mein bilkul ghalat soch hai shadi ki koi umar nahi hoti. Jo akela hai, uska haq hai kay apna partner khud chunay.Ek social media user ne likha, “bohot acha kiya. Aisi shadiyan aam honi chahiyein aur khaas taur par aulaad ko chahiye kay wo apnay walidain ko support karein.”
Doctor Agha Zulfiqar Khan ki umar mein waqai saathi ki zarurat zyada hoti hai kyunke bachay apni zindagiyon mein masroof hotay hain aur boodhay walidain kay paas waqt kam hota hai. Hum-umar saathi unki zindagi mein sukoon aur asaani laanay ka sabab banta hai.Jawan logon ko bhi is misaal se sabaq seekhna chahiye. Bari umar kay afraad jo tanha hain aur shadi ki khwahish rakhtay hain, unhein bhi chahiye kay Doctor Agha Zulfiqar Khan ke is azeem amal se kuch seekhein. Bas insaan mein khud-aitmaadi honi chahiye agar shadi ki khwahish hai aur kar saktay hain to duniya walon ki fazool baton ki koi parwa na karein. Aur yeh mat sochein ke log kya kahenge jinhain kehna hai unhein kehne dein! Jo sahi lage, wohi karo. Bina wajah ke khauf say apnay aap ko azaad karo.