Pakistan mein shadiyon aur rishton ki baat hotay hi sab se pehlay dimaag mein aik tasveer ubharti hai aik larkiyon se bhari drawing room, hansne ki halki halki aawazain, aur aik tray ya trolley jisme chai kay cup, biscuits aur samosay sajay hotay hain. Yehi hai hamara mashhoor “Chai Trolley Culture.”Lekin sawal ye hai ye culture akhir kab tak chalega?Kya asal mein ye sirf ek tradition hai ya phir larkiyon kay liye aik unnecessary pressure?
Chai trolley culture un dinon se hai jab larkiyon ko ghar kay kaam, khaas tor par mehmaan nawazii, unki “achhi tarbiyat” ka saboot mana jata tha. Rishta dekhnay aane walay log sirf larki ko nahi, uskay “mizaaj aur mahol” ko bhi judge kartay thay chai kis ne banai, cup kaisay sajay gaye, aur trolley kis ne dhakeli.
Aaj ke daur mein jab larkiyan universities, offices, aur startups mein apni pehchan bana rahi hain, tab bhi chai trolley unke liye aik test ban chuki hai.Log ab bhi kehtay hain:“Larki nay chai acchi banai thi.” “Thodi sharmai sharmai si thi, acha laga.”Lekin koi yeh nahi poochta kay larki kay dreams kya hain, uskay goals kya hain, ya wo zindagi say kya chahti hai.Chai trolley culture asal mein ek judgment system ban gaya hai jahan larki kay character, upbringing aur skills ko ek cup chai se tol diya jata hai.Kya aik insaan ki value sirf is baat par depend karti hai kay usne garam chai thik tarah serve ki ya nahi?
Ab waqt aa gaya hai kay society samjhay kay respect aur rishtay chai trolly say nahi, mutual understanding aur equality say bantay hain.Har larki ko ye haq hai kay usay sirf uskay cup of tea say nahi, balkay uske capability se pehchana jaye.Chai trolley culture ek purani riwayat hai Aj ka dor brabari ka or digital dor hai or is dor ki zaruriat sirf “Dil Kar Rishta”puri karti hai jo females ki pasand or na pasand ko brabar ki ahmiat daiti hai or unhay apni zindagi kay sb say aham faislay yani shadi ka faisla karnay ka brabar ka hak daiti hai.






