10 October ko duniya bhar mein Zehni Sehat ka Aalmi Din manaya jata hai. Aalmi Idara-e-Sehat kay mutabiq duniya bhar mein taqreeban 45 crore afrad kisi na kisi dimaghi aarzay mein mubtala hain, jismein sab se zyada payi janay wali dimaghi bemariyan depression aur schizophrenia hain.Pakistan mein zehni amraaz kay maahireen is baat par mutafiq hain kay Pakistan mein zehni sehat kay hawalay se shehrion ki soorat-e-haal achi nahi hai aur mulk mein depression kay mareezon ki tadaad tezi se barh rahi hai. Isi wajah se mulk mein khudkushiyon ki sharah bhi afsosnaak tor par barh gayi hai.
Pakistan mein taqreeban 40 % afrad mukhtalif qisam kay zehni masail ka shikar hain. Zehni tor par mazoor (mentally challenged) afrad kay ilawa, bohot say log zehni amraaz jaise kay pagalpan aur social phobia (logon se milne julne se katarana) ka shikar hain. Pakistan mein zehni mareezon ki aksariyat khawateen par mushtamil hai aur pichlay chand barson mein inki tadaad mein hairat angaiz izafa dekhnay mein aaya hai.
Puri duniya mein shadi ko zehni sehat kay liye ek madadgar ansar kay tor par dekha jata hai, aur iska saboot wo tahqiqat hain jo shadi kay zehni sehat par asraat ko samajhne kay liye ki ja rahi hain. America ki University of Michigan aur Singapore Management University ki mushtarka tehqiqat kay mutabiq, shadi se logon ki khushi mein numaya izafa hota hai aur sehat bhi behtar hoti hai.Tahqiqat mein America aur Japan kay taqreeban 5 hazar afrad ka data analyze kiya gaya jismein 3,505 shadi shuda aur 308 ghair shadi shuda Americi, jabke 710 shadi shuda aur 164 ghair shadi shuda Japani shamil thay.Natayij kay mutabiq, shadi shuda afrad nay ghair shadi shuda logon kay muqablay mein zyada pur-sukoon, sehatmand zindagi guzaari. Shadi shuda Americi shirkat karne walon ne kaha kay khandan ka zyada taawun milnay ki wajah se unki khushi aur sehat dono behtar hui.Iske bar-aks, ghair shadi shuda Americi aur Japani afrad ne kaha ke unho ne is qisam ke dabao ko apni zindagi par asar andaz nahi honay diya, lekin unki khushi samaji aur khandani dabao ki wajah se mutasir hui.
Zehni Sehat ke Aalmi Din par “Dil Ka Rishta” app ka yahi paighaam hai ke khush rahen aur apne pyaroun ki khushi ka bhi khayal rakhen, kyunke isi say ek khushhaal muashra tashkeel pata hai.