Mohabbat ka jazba duniya kay qadeem tareen jazbaat mein shumar hota hai kyunkay isi jazbay ki bunyaad par duniyavi zindagi ka aaghaz hua. Qadeem tareen honay kay bawajood is jazbay se mutaliq masail abhi tak joon kay toon hain, is liye har daur mein is par baat ki jati rahi hai. Pehlay qissa goi thi to mashhoor romanwi kahaniyan zuban dar zuban chalti aain, phir kutub bhi aa gayin. Jadeed daur kay sath radio, television aur internet ko bhi in masail kay bayan kay liye istemal kiya gaya. Social media nay in kahaniyon ko poori duniya mein pahuncha diya matlab yeh mamlaat apni poori aab-o-taab kay sath jadeed daur mein bhi qaim-o-daim hain aur apnay liye life partner dhoondhna abhi bhi mushkil tareen kaam hai.
Guzishta kuch arsay se “Love Island”, “Abdi Ishq”, “La Zawal Ishq” jaisay shows kay zariye awaam ko targhib denay ki koshish ki jati rahi hai kay muhabbat aisay hasil ki jati hai. Aisay shows mein ikhlaqiyat ki tamam hudood ko todte huay apni mohabbat hasil karnay kay tareeqay bataye jatay hain. Yeh shows dekhnay kay baad ek aam insan sochnay par majboor ho jata hai ke aakhir mohabbat aur understanding itnay mushkil kaam kaisay hotay ja rahay hain. Is baat ka seedha sa jawab yeh hai ke humnay mohabbat aur shadi jaisay mamlaat ko khud mushkil banaya hai, kyunkay har daur ki kuch requirements hoti hain jinhein zehan mein rakhna zaroori hai. Jaisay hum technology kay daur mein rehtay hain to zaruri hai kay hum iska durust istemal bhi seekhein aur isay apnay masail barhanay kay bajaye kam karne kay liye istemal karein.
Dating masail ka hal nahi balkay life partner ka intikhab karna hi zindagi ko aasaan banata hai, aur is kay liye zaruri hai kay durust tareeqa apnaya jaye. Rishta apps jaisay “Dil Ka Rishta” app bohat behtar andaaz mein is maslay ko hal karnay ka rasta dikhati hai. Yahan anay walay time pass kay liye nahi balkay shareek-e-hayat ki talaash kay liye aate hain aur isi surat mein aapko apni “Haqeeqi Mohabbat” mil sakti hai.